Iman Ke Sath KHami-e-iman Bhi Chahiye

iman ke sath KHami-e-iman bhi chahiye

azm-e-safar kiya hai to saman bhi chahiye

kuchh asl to khule kahin is zor-o-shor ki

dariya ke raste mein bayaban bhi chahiye

bhaDka to hai badan mein lahu ka gulab sa

mushkil hai ye ki tangi-e-daman bhi chahiye

us ke nai qamis ke tohfe ka shukriya

lekin yahan to pairahan-e-jaan bhi chahiye

is tirgi mein partaw-e-mahtab-e-ruKH ke sath

kuchh aks-e-aftab-e-gareban bhi chahiye

mushkil-pasand hi sahi main wasl mein magar

ab ke ye marhala mujhe aasan bhi chahiye

kuchh us taraf bhi josh-e-jafa hai naya naya

kuchh zulm apni shan ke shayan bhi chahiye

Darte bhi rahiye us se ki is mein bhi hai maza

lekin kabhi kabhi zara shun-shan bhi chahiye

mashshatagi-e-mana bahut ho chuki 'zafar'

kuchh roz ab ye zulf pareshan bhi chahiye

(1173) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iman Ke Sath KHami-e-iman Bhi Chahiye In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Iman Ke Sath KHami-e-iman Bhi Chahiye is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Iman Ke Sath KHami-e-iman Bhi Chahiye for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Iman Ke Sath KHami-e-iman Bhi Chahiye in PDF.