Ise Manzur Nahin ChhoD JhagaDta Kya Hai

ise manzur nahin chhoD jhagaDta kya hai

dil hi kam-maya hai apna to akaDta kya hai

apne soe hue suraj ki KHabar le ja kar

is kamin-gah mein kirnon ko pakaDta kya hai

jaanta hai ki utar jaegi dil mein meri baat

warna sun le tu bata tera bigaDta kya hai

shabnam-e-taza hai ye phul hain ya pate hain

dekh shaKH-e-shajar-e-sham se jhaDta kya hai

do qadam hai shab-e-gham se shab-e-wada ai dil

chand aahon ke siwa rah mein paDta kya hai

dil to bharpur samundar hai 'zafar' kya kije

do ghaDi baiTh ke rone se nabaDta kya hai

(1116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ise Manzur Nahin ChhoD JhagaDta Kya Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Ise Manzur Nahin ChhoD JhagaDta Kya Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Ise Manzur Nahin ChhoD JhagaDta Kya Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Ise Manzur Nahin ChhoD JhagaDta Kya Hai in PDF.