Zafar Fasanon Ki Dastanon Mein Rah Gae Hain

'zafar' fasanon ki dastanon mein rah gae hain

hum apne guzre hue zamanon mein rah gae hain

ajab nahin hai ki KHud hawa ke supurd kar den

ye chand tinke jo aashiyanon mein rah gae hain

makin sab kuch kar gae hain kisi taraf ko

ab un ke aasar hi makanon mein rah gae hain

suna karo subh o sham kaDwi kasili baaten

ki ab yahi zaiqe zabanon mein rah gae hain

pasand aai hai is qadar KHatir-o-tawazo

jo mehman sare mezbanon mein rah gae hain

hamein hi show-case mein saja kar rakha gaya tha

baDe hamin shahr ki dukanon mein rah gae hain

abhi yahi inqilab aaya hai rafta rafta

jo rone wale the nach ganon mein rah gae hain

alag alag apna apna parcham uTha rakha hai

ki hum qabilon na KHandanon mein rah gae hain

'zafar' zamin-zad the zamin se hi kaam rakkha

jo aasmani the aasmanon mein rah gae hain

(1106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zafar Fasanon Ki Dastanon Mein Rah Gae Hain In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Zafar Fasanon Ki Dastanon Mein Rah Gae Hain is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Zafar Fasanon Ki Dastanon Mein Rah Gae Hain for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Zafar Fasanon Ki Dastanon Mein Rah Gae Hain in PDF.