Zinda Bhi KHalq Mein Hun Mara Bhi Hua Hun Main

zinda bhi KHalq mein hun mara bhi hua hun main

hun muKHtalif bhi is mein phansa bhi hua hun main

jo ahl-e-shahr ko kisi surat nahin hai ras

aisi yahan pe aab-o-hawa bhi hua hun main

aazurda kyun hain ab mere shewan pe ahl-e-bagh

kuchh din yahan pe naghma-sara bhi hua hun main

in barishon ki mujh ko tamanna bhi thi bahut

diwar se zara sa miTa bhi hua hun main

rahta hun dur us ke dil-e-narm se magar

patthar ki tarah is mein juDa bhi hua hun main

zinda hun phir bhi ek umid-e-bahaar par

patta hun aur shajar se jhaDa bhi hua hun main

rahta nahin hun bojh kisi par ziyaada der

kuchh qarz tha agar to ada bhi hua hun main

rakhne lage hain kuchh nazar-andaz bhi ye log

manzar se apne aap haTa bhi hua hun main

ek dur ke safar pe rawana bhi hun 'zafar'

sust-ul-wajud ghar mein paDa bhi hua hun main

(1194) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zinda Bhi KHalq Mein Hun Mara Bhi Hua Hun Main In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Zinda Bhi KHalq Mein Hun Mara Bhi Hua Hun Main is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Zinda Bhi KHalq Mein Hun Mara Bhi Hua Hun Main for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Zinda Bhi KHalq Mein Hun Mara Bhi Hua Hun Main in PDF.