Jab Adhure Chand Ki Parchhain Pani Par PaDi

jab adhure chand ki parchhain pani par paDi

raushni ek na-mukammal si kahani par paDi

dhup ne kachche phalon mein dard ka ras bhar diya

ishq ki uftad na-puKHta jawani par paDi

gard KHamoshi ki sab mere dahan se dhul gai

is qadar barish suKHan ki be-zabani par paDi

us ne apne qasr se kab jhank kar dekha hamein

kab nazar us ki hamari be-makani par paDi

asl sone par tha jitna bhi mulamma jal gaya

dhup us shiddat ki alfaz-o-maani par paDi

tark kije ab dilon mein narm goshon ki talash

be-hisi ki KHak harf-e-mehrbani par paDi

zaKHm-e-dil us ki tawazoa mein namakdan ban gaya

ye musibat bhi hamari mezbani par paDi

apne hathon TuTne ka tajraba to ho gaya

choT be-shak saKHt thi jo KHush-gumani par paDi

(1509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Adhure Chand Ki Parchhain Pani Par PaDi In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Jab Adhure Chand Ki Parchhain Pani Par PaDi is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Jab Adhure Chand Ki Parchhain Pani Par PaDi for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Jab Adhure Chand Ki Parchhain Pani Par PaDi in PDF.