Hain Bazm-e-gul Mein Bapa Nauha-KHwaniyan Kya Kya

hain bazm-e-gul mein bapa nauha-KHwaniyan kya kya

bahaar chhoD gai hai nishaniyan kya kya

tamam umr gul-o-mul ke darmiyan guzri

tamam umr rahin sar-giraniyan kya kya

wo shaKHs-e-itr-badan jab bhi samne aaya

dil-o-nazar pe huin gul-o-fashaniyan kya kya

KHabar na thi yahi wajh-e-sukun-e-jaan hogi

nigah-e-yar se thin bad-gumaniyan kya kya

Tapak ke aankh se tufan uTha diye jis ne

is ek ashk mein thin be-karaniyan kya kya

huzur-e-yar se jab izn-e-guftugu na mila

suKHan-taraaz huin be-zabaniyan kya kya

har ek dard ko darman bana diya us ne

jafa ke bhes mein thin mehrbaniyan kya kya

wo husn aaj bhi hila-gari mein yakta hai

dil-e-gharib sunega kahaniyan kya kya

us ek jamal-e-gurezan ki justuju mein 'zahir'

KHarab-o-KHwar hui hain jawaniyan kya kya

(981) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Bazm-e-gul Mein Bapa Nauha-KHwaniyan Kya Kya In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Hain Bazm-e-gul Mein Bapa Nauha-KHwaniyan Kya Kya is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Hain Bazm-e-gul Mein Bapa Nauha-KHwaniyan Kya Kya for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Hain Bazm-e-gul Mein Bapa Nauha-KHwaniyan Kya Kya in PDF.