Firaq-e-yar Ke Lamhe Guzar Hi Jaenge

firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge

chaDhe hue hain jo dariya utar hi jaenge

tamam raat dar-e-mai-kada pe kaTi hai

sahar qarib hai ab apne ghar hi jaenge

tu mere haal-e-pareshan ka kuchh KHayal na kar

jo zaKHm tu ne lagae hain bhar hi jaenge

miyan-dar-o-shabistan-e-yar baiThe hain

jidhar ishaara-e-dil ho udhar hi jaenge

julus-e-naz kabhi to idhar se guzrega

kabhi to dil ke muqaddar sanwar hi jaenge

yahi rahega jo andaza-e-na-shanasai

tumhaare chahne wale to mar hi jaenge

abhi chhiDi bhi na thi dastan-e-ahd-e-wafa

kise KHabar thi ki wo yun mukar hi jaenge

jamal-e-yar ki nadida KHalwaton mein 'zahir'

agar gae to ye aashufta-sar hi jaenge

(1801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Firaq-e-yar Ke Lamhe Guzar Hi Jaenge In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Firaq-e-yar Ke Lamhe Guzar Hi Jaenge is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Firaq-e-yar Ke Lamhe Guzar Hi Jaenge for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Firaq-e-yar Ke Lamhe Guzar Hi Jaenge in PDF.