Farz Barson Ki Ibaadat Ka Ada Ho Jaise

farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise

but ko yun puj rahe hain ki KHuda ho jaise

ek pur-pech ghina ek hariri naghma

hae wo husn ki jangal ki sada ho jaise

ishq yun wadi-e-hijran mein hua mahw-e-KHiram

KHarzaron mein koi aabla-pa ho jaise

aarizon par wo tere tabish-e-paiman-e-wafa

chandni raat ke chehre pe haya ho jaise

is tarah dagh damakte hain dil-e-wahshi par

qais ke jism pe phulon ki aba ho jaise

kitna dilkash hai teri yaad ka pala hua ashk

sina-e-KHak pe mahtab gira ho jaise

ratjage wo bhi nashat-e-gham-e-mahbub ke sath

husn walon ne baDa kaam kiya ho jaise

hijr ki raat ajab rang hai paimane ka

dast mai-KHwar mein bujhta sa diya ho jaise

KHak-e-dil par tere sayyal tasawwur ka KHiram

reg-e-sahra pe rawan baad-e-saba ho jaise

aaj us shoKH ki chitwan ka ye aalam hai 'zahir'

husn apni hi adaon se KHafa ho jaise

(1296) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Farz Barson Ki Ibaadat Ka Ada Ho Jaise In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Farz Barson Ki Ibaadat Ka Ada Ho Jaise is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Farz Barson Ki Ibaadat Ka Ada Ho Jaise for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Farz Barson Ki Ibaadat Ka Ada Ho Jaise in PDF.