Hamrah Lutf-e-chashm-e-gurezan Bhi Aaegi

hamrah lutf-e-chashm-e-gurezan bhi aaegi

wo aaenge to gardish-e-dauran bhi aaegi

niklegi bu-e-zulf hamari talash mein

sahra mein ab hawa-e-gulistan bhi aaegi

wo jin ko apne tark-e-talluq pe naz tha

aaj un ko yaad sohbat-e-yaran bhi aaegi

hum KHud hi be libas rahe is KHayal se

wahshat baDhi to su-e-gareban bhi aaegi

tai ho chuka hai sud-o-ziyan ka moamla

zaKHm aaenge to lazzat-e-paikan bhi aaegi

DhunDhegi sar-barahna hamein dasht-e-hijr mein

ek din junun mein ghairat-e-jaanan bhi aaegi

ai rah-naward-e-ishq sambhal kar qadam baDha

is raste mein zulmat-e-hijran bhi aaegi

wo barq jo hudud-e-nazar se pare rahi

wo barq ab qarib-e-rag-e-jaan bhi aaegi

kaT jaega ye karb-e-shab-e-gham bhi ai 'zahir'

shubh-e-nashat-o-fasl-e-nigaran bhi aaegi

(1007) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamrah Lutf-e-chashm-e-gurezan Bhi Aaegi In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Hamrah Lutf-e-chashm-e-gurezan Bhi Aaegi is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Hamrah Lutf-e-chashm-e-gurezan Bhi Aaegi for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Hamrah Lutf-e-chashm-e-gurezan Bhi Aaegi in PDF.