Mera Hi Ban Ke Wo But Mujhse Aashna Na Hua

mera hi ban ke wo but mujh se aashna na hua

wo be-niyaz tha itna to kyun KHuda na hua

shikan hamesha jabin par rahe to aadat hai

mujhe yaqin hai wo mujh se kabhi KHafa na hua

tamam umr teri ham-rahi ka shauq raha

magar ye ranj ki main mauja-e-saba na hua

hijab-e-husn se baDhti hai war-e-uryani

yahi sabab hai main aazurda-e-haya na hua

nashat-e-hijr ka KHugar bana diya hota

jafa-e-yar se itna bhi haq ada na hua

hayat-o-hijr ka KHud main ne intiKHab kiya

main qaid kab tha jo main qaid se riha na hua

dayar-e-dard mein dil ne bahut talash kiya

nasib-e-ishq magar tera naqsh-e-pa na hua

'zahir' soz-e-darun bhi ajab karishma hai

main dur rah ke bhi us se kabhi juda na hua

(1092) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Hi Ban Ke Wo But Mujhse Aashna Na Hua In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Mera Hi Ban Ke Wo But Mujhse Aashna Na Hua is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Mera Hi Ban Ke Wo But Mujhse Aashna Na Hua for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Mera Hi Ban Ke Wo But Mujhse Aashna Na Hua in PDF.