Muzmahil Hone Pe Bhi KHud Ko Jawan Rakhte Hain Hum

muzmahil hone pe bhi KHud ko jawan rakhte hain hum

ek sar hai jis pe saton aasman rakhte hain hum

hum gareban-chaak logon ko tahi-daman na jaan

le qimar-e-ashiqi mein naqd-e-jaan rakhte hain hum

koi to aaKHir chala aaega pursish ke liye

tu na aaega to marg-e-na-gahan rakhte hain hum

ehtiram-e-gham se hain sukhe jaziron ki tarah

warna in aankhon mein bahr-e-be-karan rakhte hain hum

ishq mein zauq-e-takallum hai halakat-afrin

aarzu bhi ehtiyatan be-zaban rakhte hain hum

mah-washon ke aarizon mein dekhte hain apna aks

allah allah apna saya bhi kahan rakhte hain hum

lakh hon phaili hui manzil-ba-manzil zulmaten

sath apne mashal-e-husn-e-butan rakhte hain hum

(1036) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muzmahil Hone Pe Bhi KHud Ko Jawan Rakhte Hain Hum In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Muzmahil Hone Pe Bhi KHud Ko Jawan Rakhte Hain Hum is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Muzmahil Hone Pe Bhi KHud Ko Jawan Rakhte Hain Hum for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Muzmahil Hone Pe Bhi KHud Ko Jawan Rakhte Hain Hum in PDF.