Parwana Jal Ke Sahab-e-kirdar Ban Gaya

parwana jal ke sahab-e-kirdar ban gaya

lekin jamal-e-shama gunahgar ban gaya

hum dil-zade jo sair-e-chaman ko nikal paDe

har phul dast-e-shaKH mein talwar ban gaya

imshab tulu-e-yar ka manzar ajib tha

baam-e-buland matla-e-anwar ban gaya

ai mahwashan-e-shahr meri bandagi karo

main KHud sanwar ke aks-e-ruKH-e-yar ban gaya

wo daur the nazar pe hijab-e-ghurur tha

wo chal diye main dida-e-bedar ban gaya

jab KHamushi hi bazm ka dastur ho gai

main aadmi se naqsh-ba-diwar ban gaya

mahsus kar raha hun ki tanha hun in dinon

har shahar garche misr ka bazar ban gaya

jis ham-nafas ko mujh se mata-e-wafa mili

wo ham-nafas mera hi KHaridar ban gaya

(1259) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parwana Jal Ke Sahab-e-kirdar Ban Gaya In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Parwana Jal Ke Sahab-e-kirdar Ban Gaya is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Parwana Jal Ke Sahab-e-kirdar Ban Gaya for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Parwana Jal Ke Sahab-e-kirdar Ban Gaya in PDF.