Bisat-e-shauq Ke Manzar Badalte Rahte Hain

bisat-e-shauq ke manzar badalte rahte hain

hawa ke rang barabar badalte rahte hain

butan-e-rang bhi kuchh kam nahin hayulon se

qadam qadam pe ye paikar badalte rahte hain

chhupae chhupti nahin un se kohnagi dil ki

nae libas wo har-dam badalte rahte hain

rahi nahin kabhi yak-rang aasman ki jabin

huruf-e-lauh-e-muqaddar badalte rahte hain

qayam karta nahin dil mein chaar din koi

makin KHana-e-be-dar badalte rahte hain

bahut naya tha jo kal ab wahi purana hai

mazar-e-dahr ke patthar badalte rahte hain

(1120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bisat-e-shauq Ke Manzar Badalte Rahte Hain In English By Famous Poet Zahid Farani. Bisat-e-shauq Ke Manzar Badalte Rahte Hain is written by Zahid Farani. Read famous Poem Bisat-e-shauq Ke Manzar Badalte Rahte Hain for youth and Student by Zahid Farani. Free Download Bisat-e-shauq Ke Manzar Badalte Rahte Hain in PDF.