GaDi Ki KhiDki Se Dekha Shab Ko Us Ka Shahr

gaDi ki khiDki se dekha shab ko us ka shahr

chaaron or tha kala jangal bich mein ujla shahr

yaad na aata kyun ganw mein hum ko bhi lahore

log samundar-par na paen is se achchha shahar

sach hai har ek mulk KHuda ka des hai har insan ka

lekin apna shahr hai yaro aaKHir apna shahr

KHwab mein sun kar jag uThta hun un ki chiKH-pukar

uf wo laDte marte basi uf wo jalta shahr

poshida hain dil mein us ki yaadon ke tufan

dafn hain ek khanDar ki tah mein kitne zinda shahr

mujh par ek ghanghor udasi tujh par rang aur nur

mera chehra ban hai pyar se tera chehra shahr

kal ki baat hai aur thakan se ab tak chur hun main

us laDki ka jism tha 'zahid' uncha-nicha shahr

(1183) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GaDi Ki KhiDki Se Dekha Shab Ko Us Ka Shahr In English By Famous Poet Zahid Farani. GaDi Ki KhiDki Se Dekha Shab Ko Us Ka Shahr is written by Zahid Farani. Read famous Poem GaDi Ki KhiDki Se Dekha Shab Ko Us Ka Shahr for youth and Student by Zahid Farani. Free Download GaDi Ki KhiDki Se Dekha Shab Ko Us Ka Shahr in PDF.