Hai Mere Sar Se Koi Bojh Utarne Wala

hai mere sar se koi bojh utarne wala

pukarta hai ye har-dam pukarne wala

phira hai yun wo ruKH-e-aina-numa mujh se

koi nahin meri surat sanwarne wala

bana hun sina-e-dariya ka bojh muddat se

koi raha hi nahin par utarne wala

badalti jati hai haalat zamin ke chehre ki

ki aasman hai naya rup dhaarne wala

utar kai kargah-e-fan mein fath-yab hua

bisat-e-dahr pe har-ros haarne wala

main apne ahd ka sanna-e-shahr hun 'zahid'

mera qalam hai nae naqsh ubhaarne wala

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Mere Sar Se Koi Bojh Utarne Wala In English By Famous Poet Zahid Farani. Hai Mere Sar Se Koi Bojh Utarne Wala is written by Zahid Farani. Read famous Poem Hai Mere Sar Se Koi Bojh Utarne Wala for youth and Student by Zahid Farani. Free Download Hai Mere Sar Se Koi Bojh Utarne Wala in PDF.