TaKHil Ka Dar Khole Hue Sham KhaDi Hai

taKHil ka dar khole hue sham khaDi hai

goya koi taswir KHayalon mein jaDi hai

har manzar-e-idrak mein phir jaan paDi hai

ehsas-e-farawan hai ki sawan ki jhaDi hai

hai wasl ka hangam ki sailab-e-tajalli

tufan-e-tarannum hai ki ulfat ki ghaDi hai

tahzib-e-alam kahiye ki irfan-e-gham-e-zat

kahne ko to do lafz hain har baat baDi hai

saya ho shajar ka to kahin baiTh ke dam len

manzil to bahut dur hai aur dhup kaDi hai

sine pe mere waqt ka ye kaun giran hai

neze ki ani ya ki kaleje mein gaDi hai

wo meri hi gum-gashta haqiqat to nahin hai

raste mein kai roz se shai koi paDi hai

har lahza piroti hun bikhar jate hain har bar

lamhat-e-gurezan hain ki moti ki laDi hai

hum aur KHuda ka bhi ye ehsan uThate

insan hain kuchh aisi hi baat aan paDi hai

(1120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaKHil Ka Dar Khole Hue Sham KhaDi Hai In English By Famous Poet Zahida Zaidi. TaKHil Ka Dar Khole Hue Sham KhaDi Hai is written by Zahida Zaidi. Read famous Poem TaKHil Ka Dar Khole Hue Sham KhaDi Hai for youth and Student by Zahida Zaidi. Free Download TaKHil Ka Dar Khole Hue Sham KhaDi Hai in PDF.