Tapish Se Phir Naghma-e-junun Ki Surud-o-chang-o-rabab TuTe

tapish se phir naghma-e-junun ki surud-o-chang-o-rabab TuTe

kisi haqiqat ke ek sang-e-giran se Takra ke KHwab TuTe

hayat ki ju-e-dard-o-gham mein safine ummid-o-arzu ke

ba-shakl-e-mauj-e-nasim ubhre ba-rang-e-jism-e-habab TuTe

suna rahi hain wafa ki rahen shikast-e-parwaz ka fasana

ki dur tak wadi-e-talab mein paDe hain har samt KHwab TuTe

barahna-pa aao tum bhi hamdam bas ab to sahra-e-arzu mein

tamazat-e-reg-e-agahi se tilism-e-mauj-e-sarab TuTe

yahi hai bazm-e-mai-gusaran to shart-e-sad-ehtiyat kyun ho

kisi ke hathon mein jam chhalke kisi ka band-e-naqab TuTe

chaTaKH rahe hain dilon ke saghar magar ye farman-e-chaaragar hai

na koi chashm-e-pur-ab chhalke na koi jam-e-sharab TuTe

(1164) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tapish Se Phir Naghma-e-junun Ki Surud-o-chang-o-rabab TuTe In English By Famous Poet Zahida Zaidi. Tapish Se Phir Naghma-e-junun Ki Surud-o-chang-o-rabab TuTe is written by Zahida Zaidi. Read famous Poem Tapish Se Phir Naghma-e-junun Ki Surud-o-chang-o-rabab TuTe for youth and Student by Zahida Zaidi. Free Download Tapish Se Phir Naghma-e-junun Ki Surud-o-chang-o-rabab TuTe in PDF.