Din Ka Karb

aur phir

subh ne lapeTe

dabiz KHwabon ke

narm bistar

din ki dukhti ragon mein utre

shadid mayusiyon ke

nashtar

simaT ke baiThe

alam ki Tahni pe

par-burida

shikasta-pa

aarzu ke tair

wafa ke aangan mein

na-tawan

KHasta-haal

umidon ki sans ukhDi

aur diwar-o-dar pe

manDlae

kina-KHu

nafraton ke dil-char

shikasta lamhon ke karwan

zist ke

shoala-bar sahra mein

kasa-e-dard le ke nikle

ki koi chashma mile

to ruh ki tishnagi miTaen

wagarna baDhte rahen

aarzu mein

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ka Karb In English By Famous Poet Zahida Zaidi. Din Ka Karb is written by Zahida Zaidi. Read famous Poem Din Ka Karb for youth and Student by Zahida Zaidi. Free Download Din Ka Karb in PDF.