Raat Aansu Ko Teri Aankh Mein Dekha Humne

raat aansu ko teri aankh mein dekha hum ne

rakh diya toD ke jaise koi tara hum ne

gum-shuda jism mile halqa-e-bazu jage

sham se oDh liya aaj sawera hum ne

gham mein KHush rahte hain har saya-e-qurbat se dur

ab badal Dala mizaj ahl-e-wafa ka hum ne

os mein mahki hui raat ke ponchhe aansu

subh ko de diya hansta hua chehra hum ne

KHatm KHush-fahmi-e-sairabi hui honTon tak

aankh se dekha hai pyasa koi dariya hum ne

chakh liya jazba-e-warafta ne ek rang-e-hayat

kar liya apne lab-e-sada ko jhuTa hum ne

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Aansu Ko Teri Aankh Mein Dekha Humne In English By Famous Poet Zakauddin Shaya.n. Raat Aansu Ko Teri Aankh Mein Dekha Humne is written by Zakauddin Shaya.n. Read famous Poem Raat Aansu Ko Teri Aankh Mein Dekha Humne for youth and Student by Zakauddin Shaya.n. Free Download Raat Aansu Ko Teri Aankh Mein Dekha Humne in PDF.