Bujh Kar Bhi Shoala Dam-e-hawa Mein Asir Hai

bujh kar bhi shoala dam-e-hawa mein asir hai

qaem abhi faza mein dhuen ki lakir hai

guzra hun us ke dar se to kuchh mang lun magar

kashkol be-talab hai sada be-faqir hai

jo chahe achchhe damon mein us ko KHarid le

wo aadmi bura nahin par be-zamir hai

dil par lagi hai sab ke wahi mohr barf ki

zahir mein garm-joshi-e-dast-e-safir hai

DhunDe se aadmi nahin milta yahan pe 'zeb'

yun is dayar-e-bahr mein gauhar kasir hai

(1054) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujh Kar Bhi Shoala Dam-e-hawa Mein Asir Hai In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Bujh Kar Bhi Shoala Dam-e-hawa Mein Asir Hai is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Bujh Kar Bhi Shoala Dam-e-hawa Mein Asir Hai for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Bujh Kar Bhi Shoala Dam-e-hawa Mein Asir Hai in PDF.