Hai Bahut Taq Wo Bedad Mein Dar Hai Ye Bhi

hai bahut taq wo bedad mein Dar hai ye bhi

jaan salamat na bacha laun KHatar hai ye bhi

dil ki lau phir usi Thahrao pe aa jaegi

ek zara der hawaon ka asar hai ye bhi

ju-e-payab-e-mohabbat mein jawahir mat DhunDh

kisi patthar ko samajh le ki guhar hai ye bhi

justuju gauhar-e-mani ki ziyan waqt ka hai

kya parakhta hai unhen sarf-e-nazar hai ye bhi

manzilen KHatm huin tark o talluq ki tamam

ab kisi samt nikal ja ki safar hai ye bhi

ab salamat kahan rah paega ye naqsh-e-wafa

kuchh lahu dil ka bacha le ki hunar hai ye bhi

dasht o dar mein wahi surKHi wahi peDon pe chamak

zard phulon ko na dekho to sahar hai ye bhi

aage chal ke to kaDe kos hain tanhai ke

aur kuchh dur talak lutf-e-safar hai ye bhi

kya hai main jis ke tajassus mein pareshan bhi hun

'zeb' kuchh hath na aaega KHabar hai ye bhi

(1182) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Bahut Taq Wo Bedad Mein Dar Hai Ye Bhi In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Hai Bahut Taq Wo Bedad Mein Dar Hai Ye Bhi is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Hai Bahut Taq Wo Bedad Mein Dar Hai Ye Bhi for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Hai Bahut Taq Wo Bedad Mein Dar Hai Ye Bhi in PDF.