Main Aks-e-arzu Tha Hawa Le Gai Mujhe

main aks-e-arzu tha hawa le gai mujhe

zindan-e-ab-o-gil se chhuDa le gai mujhe

kya bach raha tha jis ka tamasha wo dekhta

daman mein apne KHak chhupa le gai mujhe

kuchh dur tak to chamki thi mere lahu ki dhaar

phir raat apne sath baha le gai mujhe

juz tirgi na hath laga us ka kuchh suragh

kin manzilon se gard-e-nawa le gai mujhe

kis ko guman tha ki kahan ja raha hun main

ek sham aai aur bula le gai mujhe

parwaz ki hawas ne asir-e-falak rakha

ruKHsat hui to dam mein Dale gai mujhe

sakit khaDa tha waqt magar tesha-zan hawa

patthar ki tah se 'zeb' nikale gai mujhe

(1082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Aks-e-arzu Tha Hawa Le Gai Mujhe In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Main Aks-e-arzu Tha Hawa Le Gai Mujhe is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Main Aks-e-arzu Tha Hawa Le Gai Mujhe for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Main Aks-e-arzu Tha Hawa Le Gai Mujhe in PDF.