Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_990e14d5b86f1c8d7bef1f1c6558b39c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Adam Wajud Bhi Kya Zar-nigar Tha - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

Mera Adam Wajud Bhi Kya Zar-nigar Tha

mera adam wajud bhi kya zar-nigar tha

chaaron taraf KHala mein chamakta ghubar tha

sahil bani nigah ki had fasle miTe

girdab-e-mauj-e-dud makan ka hisar tha

pi kar lahu siyah hui kisht-e-arzu

kya dekhte ki KHak ka dawa bahaar tha

maujon mein Dubti hui surKHi thi sham ki

dil dasht-e-pur-sukut tha dariya qarar tha

ek bojh uThae sham ko lauTa hun main niDhaal

main apne dam-e-shauq mein kya KHud shikar tha

dil ka suragh kya ki jahan tak nigah ki

nairang-e-naqsh-e-rafta-e-pa-e-farar tha

main ek shajar sukut tha aur meri chhanw mein

girta hua sadaon ka ek aabshaar tha

KHurshid-o-mah mere liye ek fasana the

tarik jangalon ka main lail-o-nahaar tha

shoale daraaz dast the aur mere samne

KHurshid sham-e-dasht ka tarik ghaar tha

main KHak-e-dil bikher raha tha hawa mein 'zeb'

aur is se be-KHabar tha ki us mein sharar tha

(1158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Adam Wajud Bhi Kya Zar-nigar Tha In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Mera Adam Wajud Bhi Kya Zar-nigar Tha is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Mera Adam Wajud Bhi Kya Zar-nigar Tha for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Mera Adam Wajud Bhi Kya Zar-nigar Tha in PDF.