Mera Nishan Bhi DhunDh Ghubar-e-mah-o-aKHtar Mein

mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein

kuchh manzar main ne bhi banae banae hain manzar mein

puchho to zaKHmon ka hawala dena mushkil hai

itni be-tartibi si hai dil ke daftar mein

wo maujon ki tesha-zani se gunjti chaTTanen

wo patthar si raat ka Dhalna chand ke paikar mein

itna yaad hai jab main chala tha su-e-dasht-e-bala

maujen marta ek dariya bahta tha barabar main

chamak raha hai KHema-e-raushan dur sitare sa

dil ki kashti tair rahi hai khule samundar mein

'zeb' mujhe Dar lagne laga hai apne KHwabon se

jagte jagte dard raha karta hai mere sar mein

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Nishan Bhi DhunDh Ghubar-e-mah-o-aKHtar Mein In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Mera Nishan Bhi DhunDh Ghubar-e-mah-o-aKHtar Mein is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Mera Nishan Bhi DhunDh Ghubar-e-mah-o-aKHtar Mein for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Mera Nishan Bhi DhunDh Ghubar-e-mah-o-aKHtar Mein in PDF.