Phaili Hui Hai Sari Dishaon Mein Raushni

phaili hui hai sari dishaon mein raushni

lekin nahin charagh ki chhanw mein raushni

ab to panapne wali hain raushan-KHayaliyan

aai nai nai mere ganw mein raushni

ek hath dusre ko sujhai na de magar

hum ne chhupa rakhi hai ridaon mein raushni

din-o-mashiyat-o-siyasat ke peshwa

zehnon mein tirgi to adaon mein raushni

sab log mashalon ki tamanna mein KHar the

garche paDi thi apne hi panw mein raushni

'zishan' siyahiyon ke numainda bhi hain hum

aur hum hi chahte hain ataon mein raushni

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phaili Hui Hai Sari Dishaon Mein Raushni In English By Famous Poet Zeeshaan Sajid. Phaili Hui Hai Sari Dishaon Mein Raushni is written by Zeeshaan Sajid. Read famous Poem Phaili Hui Hai Sari Dishaon Mein Raushni for youth and Student by Zeeshaan Sajid. Free Download Phaili Hui Hai Sari Dishaon Mein Raushni in PDF.