Hansti Hui LaDki

hansti hui laDki

ek aansu mein rahti hai

is ek aansu mein

jab wo chhup gai thi

to use kisi ne nahin DhunDa

aur is ek aansu mein

jab wo ghar gai thi

to kisi ko nahin mil saki

isi aansu mein se

hath baDha ke

us ne phul toDe the

aur isi aansu mein se us ne

wo kitab paDhi thi

jis mein aansuon se

toDe hue phul nahin rakhe ja sakte

hansti hui laDki

barish mein

is ek aansu se

bahar nahin ja sakti

wo chalti hai

aur hamesha thak ke baiTh jati hai

apne kaDhe hue rumal par

wo sunti hai apni kahi hui kahani

aur har bar rone lagti hai

hansti hui laDki

apni hatheli pe

aansuon se

ek qila bana leti hai

aur ek aansu se

ziyaada nahin roti

(1287) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hansti Hui LaDki In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Hansti Hui LaDki is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Hansti Hui LaDki for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Hansti Hui LaDki in PDF.