Naqsh Ki Tarah Ubharna Bhi Tumhi Se Sikha

naqsh ki tarah ubharna bhi tumhi se sikha

rafta rafta nazar aana bhi tumhi se sikha

tum se hasil hua ek gahre samundar ka sukut

aur har mauj se laDna bhi tumhi se sikha

achchhe sheron ki parakh tum ne hi sikhlai mujhe

apne andaz se kahna bhi tumhi se sikha

tum ne samjhae meri soch ko aadab adab

lafz o mani se ulajhna bhi tumhi se sikha

rishta-e-naz ko jaana bhi to tum se jaana

jama-e-faKHr pahanna bhi tumhi se sikha

chhoTi si baat pe KHush hona mujhe aata tha

par baDi baat pe chup rahna tumhi se sikha

(1691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh Ki Tarah Ubharna Bhi Tumhi Se Sikha In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Naqsh Ki Tarah Ubharna Bhi Tumhi Se Sikha is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Naqsh Ki Tarah Ubharna Bhi Tumhi Se Sikha for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Naqsh Ki Tarah Ubharna Bhi Tumhi Se Sikha in PDF.