Lab Par KHamoshiyon Ko Sajae Nazar Churae

lab par KHamoshiyon ko sajae nazar churae

jo ahl-e-dil mein baiThe hain chup-chap sar jhukae

kah do koi saba se idhar aaj-kal na aae

kaliyan kahin mahak na uThen phul khil na jae

ab dosti wo fan ki jo sikhe wahi nibhae

aur hai wafa tamasha jise aae wo dikhae

kuchh kahna jurm hai to KHata-war main bhi hun

ye aur baat mera kaha wo samajh na pae

(1181) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab Par KHamoshiyon Ko Sajae Nazar Churae In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Lab Par KHamoshiyon Ko Sajae Nazar Churae is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Lab Par KHamoshiyon Ko Sajae Nazar Churae for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Lab Par KHamoshiyon Ko Sajae Nazar Churae in PDF.