Safar KHud-raftagi Ka Bhi Ajab Andaz Tha

safar KHud-raftagi ka bhi ajab andaz tha

kahin par rah bhule the na ruk kar dam liya tha

zamin par gir rahe the chand tare jaldi jaldi

andhera ghar ki diwaron se uncha ho raha tha

chale chalte the rah-raw ek aawaz-e-aKHi par

junun tha ya fusun tha kuchh to tha jo ho raha tha

main us din teri aamad ka nazara sochti thi

wo din jab tere jaane ke liye rukna paDa tha

isi husn-e-talluq par waraq likhte gae lakh

kiran se ru-e-gul tak ek pal ka rabta tha

bahut din baad 'zehra' tu ne kuchh ghazlen to likkhin

na likhne ka kisi se kya koi wada kiya tha

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar KHud-raftagi Ka Bhi Ajab Andaz Tha In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Safar KHud-raftagi Ka Bhi Ajab Andaz Tha is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Safar KHud-raftagi Ka Bhi Ajab Andaz Tha for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Safar KHud-raftagi Ka Bhi Ajab Andaz Tha in PDF.