Tera KHayal Farozan Hai Dekhiye Kya Ho

tera KHayal farozan hai dekhiye kya ho

KHamosh gardish-e-dauran hai dekhiye kya ho

na jaane kitne sitare ye kahte Dub gae

sahar ka rang pareshan hai dekhiye kya ho

kali udas chaman sogwar gul KHamosh

ye intizar-e-bahaaran hai dekhiye kya ho

ajib baat hai in tirgi ki rahon mein

nafas nafas mein charaghan hai dekhiye kya ho

bhaDak raha hai abhi tak charagh aaKHir-e-shab

use bhi subh ka arman hai dekhiye kya ho

(1122) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera KHayal Farozan Hai Dekhiye Kya Ho In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Tera KHayal Farozan Hai Dekhiye Kya Ho is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Tera KHayal Farozan Hai Dekhiye Kya Ho for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Tera KHayal Farozan Hai Dekhiye Kya Ho in PDF.