Wahshat Mein Bhi Minnat-kash-e-sahra Nahin Hote

wahshat mein bhi minnat-kash-e-sahra nahin hote

kuchh log bikhar kar bhi tamasha nahin hote

jaan dete hain jaan dene ka sauda nahin karte

sharminda-e-ejaz-e-masiha nahin hote

hum KHak the par jab use dekha to bahut roe

sunte the ki sahraon mein dariya nahin hote

ek tar-e-gareban ka rahe dhyan ki sab log

mahfil mein to hote hain shanasa nahin hote

(1133) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat Mein Bhi Minnat-kash-e-sahra Nahin Hote In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Wahshat Mein Bhi Minnat-kash-e-sahra Nahin Hote is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Wahshat Mein Bhi Minnat-kash-e-sahra Nahin Hote for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Wahshat Mein Bhi Minnat-kash-e-sahra Nahin Hote in PDF.