Kitne Imkan The Jo KHwabon Ke Sahaare Dekhe

kitne imkan the jo KHwabon ke sahaare dekhe

mawara the jo nazar se wo nazare dekhe

parde uThte gae aankhon se to rafta rafta

barg-e-gul barf mein patthar mein sharare dekhe

dil pe us waqt khula hausla-e-gham ka jamal

apne har rang mein jab rup tumhaare dekhe

aasare jate rahe aas abhi baqi hai

pau bhi phuTegi jahan Dubte tare dekhe

dil ko KHun karne ki hasrat ho use bhi shayad

sahab-e-sada agar rang hamare dekhe

KHub-o-na-KHub mein kya farq karen hum ki yahan

jab hawa palTi to muDte hue dhaare dekhe

mujhe is bazm mein kahna to bahut kuchh tha 'ziya'

bujh gae lafz jab aankhon ke ishaare dekhe

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitne Imkan The Jo KHwabon Ke Sahaare Dekhe In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Kitne Imkan The Jo KHwabon Ke Sahaare Dekhe is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Kitne Imkan The Jo KHwabon Ke Sahaare Dekhe for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Kitne Imkan The Jo KHwabon Ke Sahaare Dekhe in PDF.