Kitni Der Aur Hai Ye Bazm-e-tarab-nak Na Kah

kitni der aur hai ye bazm-e-tarab-nak na kah

ras aati hai kise gardish-e-aflak na kah

kyun Thaharta nahin gulzar mein koi mausam

kya kashish rakhti hai KHushbu-e-tah-e-KHak na kah

dekh to rang tamannaon ki betabi ke

kal fana hai magar ai sahab-e-idrak na kah

dard ki aanch abad tak hai kisi rup mein ho

aaj ke phul ko aainda ke KHashak na kah

lafz ki zarb to hai saiqa-o-sang se saKHt

dil bahut narm hain na-gufta-o-be-bak na kah

gham-gusaron ko bhi hai apne hi aalam se kaam

dil pe jo biti hai ai dida-e-namnak na kah

shauq hi zist bhi hai zist ki aagahi bhi

is masiha-nafas-azar ko saffak na kah

dil-e-farhad junun-fahm ko nadan na samajh

chashm-e-parwez-e-tunuk-hosh ko chaalak na kah

KHud-numai thi ki tha mahbas-e-pindar ka KHauf

qais ke jaib-o-gareban rahe kyun chaak na kah

bujh na jaen kahin dil ahl-e-tamanna ke 'ziya'

kaise shoalon se hai ye jashn-e-tarab-nak na kah

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Der Aur Hai Ye Bazm-e-tarab-nak Na Kah In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Kitni Der Aur Hai Ye Bazm-e-tarab-nak Na Kah is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Kitni Der Aur Hai Ye Bazm-e-tarab-nak Na Kah for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Kitni Der Aur Hai Ye Bazm-e-tarab-nak Na Kah in PDF.