Imkan
mere lafz mere lahu ki lau
mere dil ki lai jise nur-e-nai ki talash hai
mere ashk mere wo harf hain jo mere labon pe na aa sake
main agar kahun bhi to kya kahun
ki hanuz meri zaban mein hai wahi na-kushuda-girah ki thi
tu sune to abr bhi naghma hai
tu sune to mauj-e-hawa bhi rag ki tan hai
tu sune to pat bhi phul bhi kisi gupt git ke bol hain
gul-o-yasman hon ki mehr-o-mah
har ek apni saut-o-sada mein kaamil-o-tam hai
mera lafz naqis-o-KHam hai
raha na-tamam jo kah saka
jo na kah saka wahi baat asl-e-kalam hai
tu sune to koi ajab nahin
ki meri nawa ka hunar khule
tu sune to koi ajab nahin
ki suKHan ka satwan dar khule
(1088) Peoples Rate This