Jaan Ka Dushman Hai Magar Jaan Se Pyara Bhi Hai

jaan ka dushman hai magar jaan se pyara bhi hai

aisa is ahd mein ek shaKHs hamara bhi hai

jagti aankhon ne dekhe hain tere KHwab ai jaan

aur nindon mein tera nam pukara bhi hai

wo bura waqt ki jab sath na ho saya bhi

hum ne hans hans ke kai bar guzara bhi hai

jis ne manjdhaar mein chhoDa use malum nahin

Dubne wale ko tinke ka sahaara bhi hai

mat luTa dena zamane pe hi sari KHairaat

muntazir hath mein kashkol hamara bhi hai

nam sun kar mera us lab pe tabassum hai 'ziya'

aur palkon pe utar aaya sitara bhi hai

(1334) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Ka Dushman Hai Magar Jaan Se Pyara Bhi Hai In English By Famous Poet Zia Zameer. Jaan Ka Dushman Hai Magar Jaan Se Pyara Bhi Hai is written by Zia Zameer. Read famous Poem Jaan Ka Dushman Hai Magar Jaan Se Pyara Bhi Hai for youth and Student by Zia Zameer. Free Download Jaan Ka Dushman Hai Magar Jaan Se Pyara Bhi Hai in PDF.