Zard Patte The Hamein Aur Kya Kar Jaana Tha
zard patte the hamein aur kya kar jaana tha
tez aandhi thi muqabil so bikhar jaana tha
wo na tha tark-e-talluq pe pasheman to phir
tum ko bhi chahiye ye tha ki mukar jaana tha
kyun bhala kachche makanon ka tumhein aaya KHayal
tum to dariya the tumhein tez guzar jaana tha
ishq mein soch samajh kar nahin chalte sain
jis taraf us ne bulaya tha udhar jaana tha
tujh se hi TuTa bharam rishton ki mazbuti ka
sar pe ilzam tere dida-e-tar jaana tha
KHud ko jab kar hi diya tha teri aandhi ke supurd
phir ye kya jaan ke karte ki kidhar jaana tha
kya KHabar thi ki yahan teri zarurat hogi
hum ne to bas dar-o-diwar ko ghar jaana tha
(1312) Peoples Rate This