Mera Sara Badan Rakh Ho Bhi Chuka Maine Dil Ko Bachaya Hai Tere Liye

mera sara badan rakh ho bhi chuka main ne dil ko bachaya hai tere liye

TuTe phuTe se diwar-o-dar hain sabhi phir bhi ghar ko sajaya hai tere liye

kitni mehnat hui KHun pasina hua jism miTTi hua rang maila hua

KHud to jalta raha dozaKHon mein magar ghar ko jannat banaya hai tere liye

teri har baat thi talKHiyon se bhari tera lahja sada mujh ko Dasta raha

phir bhi thak haar kar apna daman mar kar main ne KHud ko manaya hai tere liye

mere har sans mein hukm shamil tera main hila bhi to marzi se teri hila

tu ne jo kuchh bhi chaha wahi ho gaya main ne KHud ko ganwaya hai tere liye

log kahte hain bechaare 'faruq' ki maut ho bhi chuki zindagi ke liye

apni hasti miTai hai tere liye us ko jina bhi aaya hai tere liye

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Sara Badan Rakh Ho Bhi Chuka Maine Dil Ko Bachaya Hai Tere Liye In English By Famous Poet Zubair Farooq. Mera Sara Badan Rakh Ho Bhi Chuka Maine Dil Ko Bachaya Hai Tere Liye is written by Zubair Farooq. Read famous Poem Mera Sara Badan Rakh Ho Bhi Chuka Maine Dil Ko Bachaya Hai Tere Liye for youth and Student by Zubair Farooq. Free Download Mera Sara Badan Rakh Ho Bhi Chuka Maine Dil Ko Bachaya Hai Tere Liye in PDF.