Log Kahte Hain Yahan Ek Hasin Rahta Tha

log kahte hain yahan ek hasin rahta tha

sar-e-aina koi mah-jabin rahta tha

wo bhi kya din the ki bar-dosh-e-hawa the hum bhi

aasmanon pe koi KHak-nashin rahta tha

main use DhunDta phirta tha bayabanon mein

wo KHazane ki tarah zer-e-zamin rahta tha

phir bhi kyun us se mulaqat na hone pai

main jahan rahta tha wo bhi to wahin rahta tha

jaane 'faruq' wo kya shahr tha jis ke andar

ek Dar tha ki makinon mein makin rahta tha

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log Kahte Hain Yahan Ek Hasin Rahta Tha In English By Famous Poet Zubair Farooq. Log Kahte Hain Yahan Ek Hasin Rahta Tha is written by Zubair Farooq. Read famous Poem Log Kahte Hain Yahan Ek Hasin Rahta Tha for youth and Student by Zubair Farooq. Free Download Log Kahte Hain Yahan Ek Hasin Rahta Tha in PDF.