Saf Aaina Hai Kyun Mujhe Dhundla Dikhai De

saf aaina hai kyun mujhe dhundla dikhai de

gar aks hai ye mera to mujh sa dikhai de

mujh ko to mar Dalega mera akela-pan

is bhiD mein koi to shanasa dikhai de

barbaad mujh ko dekhna chahe har ek aankh

mil kar rahunga KHak mein aisa dikhai de

ye aasman pe dhund si chhai hui hai kya

gar abr hai to hum ko barasta dikhai de

ye mujh ko kis maqam pe le aai zindagi

ya rab koi farar ka rasta dikhai de

'faruq' dil ka haal main ja kar kise kahun

har chehra mujh ko apna hi chehra dikhai de

(1947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saf Aaina Hai Kyun Mujhe Dhundla Dikhai De In English By Famous Poet Zubair Farooq. Saf Aaina Hai Kyun Mujhe Dhundla Dikhai De is written by Zubair Farooq. Read famous Poem Saf Aaina Hai Kyun Mujhe Dhundla Dikhai De for youth and Student by Zubair Farooq. Free Download Saf Aaina Hai Kyun Mujhe Dhundla Dikhai De in PDF.