Tha Harf-e-shauq Said Hua Kaun Le Gaya

tha harf-e-shauq said hua kaun le gaya

main jis ko sun sakun wo sada kaun le gaya

ek main hi jama-posh tha uryaniyon ke bich

mujh se meri aba o qaba kaun le gaya

ehsas bikhra bikhra sa haara hua badan

chaDhti hararton ka nasha kaun le gaya

baaton ka husn hai na kahin shoKHi-e-bayan

shahr-e-nawa se harf o sada kaun le gaya

main kab se hun asir sarabon ke jal mein

nile samundaron pe ghaTa kaun le gaya

mai-KHana chhoD ghar ki fazaon mein aa gae

hum se mata-e-laghzish-e-pa kaun le gaya

main jab na tha to mujh pe bahut qahqahe lage

ahbab se sirisht-e-wafa kaun le gaya

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Harf-e-shauq Said Hua Kaun Le Gaya In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Tha Harf-e-shauq Said Hua Kaun Le Gaya is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Tha Harf-e-shauq Said Hua Kaun Le Gaya for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Tha Harf-e-shauq Said Hua Kaun Le Gaya in PDF.