Tilism-e-harf-o-hikayat Use Bhi Le Duba

tilism-e-harf-o-hikayat use bhi le Duba

zaban se us ki har ek baat ek fasana lage

wo jis ko dur se dekha tha ajnabi ki tarah

kuchh is ada se mila hai ki dostana lage

idhar udhar se muqabil ko yun na ghail kar

wo sang phenk ki be-saKHta nishana lage

ye lamha lamha takalluf ke TuTte rishte

na itne pas mere aa ki tu purana lage

wo ek shaKHs jo leTa hai reg-e-sahil par

use na mauja-e-tufan ka taziyana lage

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tilism-e-harf-o-hikayat Use Bhi Le Duba In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Tilism-e-harf-o-hikayat Use Bhi Le Duba is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Tilism-e-harf-o-hikayat Use Bhi Le Duba for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Tilism-e-harf-o-hikayat Use Bhi Le Duba in PDF.