Wo Aa Gaya To Sara Pari-KHana Ji UTha

wo aa gaya to sara pari-KHana ji uTha

aaraish-e-jamal se aaina ji uTha

mujh tak pahunch gaya to baDi baat jaaniye

aawaz-e-pa se jis ki mera zina ji uTha

yaran-e-mai-kada jo kabhi yaad aa gae

mujh mein KHumar-e-mahfil-e-parina ji uTha

the didani libason mein tarshe hue badan

oDhi jo us ne shaal to pashmina ji uTha

chae ki mez par gai shamon ka zikr tha

mujh mein bhi ek talluq-e-derina ji uTha

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aa Gaya To Sara Pari-KHana Ji UTha In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Wo Aa Gaya To Sara Pari-KHana Ji UTha is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Wo Aa Gaya To Sara Pari-KHana Ji UTha for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Wo Aa Gaya To Sara Pari-KHana Ji UTha in PDF.