Wo Baad-e-garm Tha Baad-e-saba Ke Hote Hue

wo baad-e-garm tha baad-e-saba ke hote hue

main zaKHm zaKHm tha barg-e-hina ke hote hue

bas ek manzar-e-KHali tha meri aankhon mein

nigar-e-KHana-e-rang-e-hina ke hote hue

wo taq-e-dil ho ki mehrab-e-mimbar-e-maqtal

charagh sab ne jalae hawa ke hote hue

ajib log the KHamosh rah ke jite the

dilon mein hurmat-e-sang-e-sada ke hote hue

wo ek wasl ki shab bhi malal mein guzri

girah-e-kushai-e-band-e-qaba ke hote hue

wo lauT aae the ranj-e-safar ke imkan se

rafiq-e-rah ki aawaz-e-pa ke hote hue

na kam hua tha gunahon se raghbaton ka junun

hazar sohbat-e-sidq-o-safa ke hote hue

(1139) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Baad-e-garm Tha Baad-e-saba Ke Hote Hue In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Wo Baad-e-garm Tha Baad-e-saba Ke Hote Hue is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Wo Baad-e-garm Tha Baad-e-saba Ke Hote Hue for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Wo Baad-e-garm Tha Baad-e-saba Ke Hote Hue in PDF.