Zindagi Aise Gharon Se To KhanDar Achchhe The

zindagi aise gharon se to khanDar achchhe the

jin ki diwar hi achchhi thi na dar achchhe the

un ki jannat mein rahe hum to ye ehsas hua

apne viranon mein hum KHak-basar achchhe the

band thi hum pe wahi rah-e-gulistan ki jahan

saya karte hue do-ruya shajar achchhe the

umr ki andhi guphaon ka safar lamba tha

wo to kahiye ki rafiqan-e-safar achchhe the

kahin sahra kahin jangal to kahin dariya the

mere hisse ki zamin tere safar achchhe the

sair-e-duniya se jo lauTe to ye jaana hum ne

shahr-e-'ghaalib' tere KHuban-e-nazar achchhe the

(1192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Aise Gharon Se To KhanDar Achchhe The In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Zindagi Aise Gharon Se To KhanDar Achchhe The is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Zindagi Aise Gharon Se To KhanDar Achchhe The for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Zindagi Aise Gharon Se To KhanDar Achchhe The in PDF.