Sara Bagh Ulajh Jata Hai Aisi Be-tartibi Se
sara bagh ulajh jata hai aisi be-tartibi se
mujh mein phailne lag jati hai KHushbu apni marzi se
har manzar ko majma mein se yun uTh uTh kar dekhte hain
ho sakta hai shohrat pa len hum apni dilchaspi se
in aaankhon se do ek aansu Tapke hon to yaad nahin
hum ne apna waqt guzara har mumkin KHamoshi se
barf jami hai manzil manzil raste aatish-dan mein hain
baiTha rakh kured raha hun main apni baisakhi se
KHwabon ke KHush-haal parinde sar par yun manDlate hain
dur se pahchane jate hain hum apni be-KHwabi se
dil se nikale ja sakte hain KHauf bhi aur KHarabe bhi
lekin azal abad ko 'adil' kaun nikale basti se
(1649) Peoples Rate This