Shab Mein Din Ka Bojh UThaya Din Mein Shab-bedari Ki

shab mein din ka bojh uThaya din mein shab-bedari ki

dil par dil ki zarb lagai ek mohabbat jari ki

kashti ko kashti kah dena mumkin tha aasan na tha

dariyaon ki KHak uDai mallahon se yari ki

koi had koi andaza kab tak karte jaana hai

KHandaq se KHamoshi gahri us se gahri tariki

ek taswir mukammal kar ke un aankhon se Darta hun

faslen pak jaane par jaise dahshat ek chingari ki

hum insaf nahin kar pae duniya se bhi dil se bhi

teri jaanib muD kar dekha yani jaanib-dari ki

KHwab adhure rah jate hain nind mukammal hone se

aadhe jage aadhe soe ghaflat bhar hushyari ki

jitna in se bhag raha hun utna pichhe aati hain

ek sada jarob-kashi ki ek aawaz bhikari ki

apne aap ko gali de kar ghur raha hun tale ko

almari mein bhul gaya hun phir chabi almari ki

ghaTte baDhte sae se 'adil' lutf uThaya sara din

aangan ki diwar pe baiThe hum ne KHub sawari ki

(1509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Mein Din Ka Bojh UThaya Din Mein Shab-bedari Ki In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Shab Mein Din Ka Bojh UThaya Din Mein Shab-bedari Ki is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Shab Mein Din Ka Bojh UThaya Din Mein Shab-bedari Ki for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Shab Mein Din Ka Bojh UThaya Din Mein Shab-bedari Ki in PDF.