KHun Jab Ashk Mein Dhalta Hai Ghazal Hoti Hai

KHun jab ashk mein Dhalta hai ghazal hoti hai

jab bhi dil rang badalta hai ghazal hoti hai

tere iKHlas-e-sitam hi ka ise faiz kahen

munjamid dard pighalta hai ghazal hoti hai

dil ko garmati hai ashkon ke sitaron ki kiran

jab diya sham ka jalta hai ghazal hoti hai

sher hota hai shafaq mein jo hina rachti hai

lala jab KHun ugalta hai ghazal hoti hai

KHushk soton ko jagate hain payambar ke qadam

ret se chashma ubalta hai ghazal hoti hai

apne sine ke mina mein bhi tah-e-KHanjar-e-ishq

jab koi fidya badalta hai ghazal hoti hai

fikr aa jati hai tarsil ke suraj ke tale

jab koi saya nikalta hai ghazal hoti hai

dawat-e-pursish-e-ahwal hai yaron se kaho

dariya jab aankhon ka chaDhta hai ghazal hoti hai

jazba-o-fikr ke KHamosh samundar ke tale

jab bhi tufan machalta hai ghazal hoti hai

mehrban hota hai jab jaan mohabbat 'tarzi'

dil-e-bimar sambhalta hai ghazal hoti hai

(1348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHun Jab Ashk Mein Dhalta Hai Ghazal Hoti Hai In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. KHun Jab Ashk Mein Dhalta Hai Ghazal Hoti Hai is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem KHun Jab Ashk Mein Dhalta Hai Ghazal Hoti Hai for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download KHun Jab Ashk Mein Dhalta Hai Ghazal Hoti Hai in PDF.