KHwab Ki Basti Mein Afsane Ka Ghar

KHwab ki basti mein afsane ka ghar

shama ki lau par hai parwane ka ghar

ban gae aaKHir harif-e-baal-o-par

dam ki diwar aur dane ka ghar

aap bhi sang-e-ta'qqul phenkiye

aaina-KHana hai diwane ka ghar

main junun-e-ishq aur sahra-e-gham

tu adu ki bazm begane ka ghar

aql-o-danish ilm-o-irfan fikr-o-hosh

kin hisaron mein hai farzane ka ghar

ho gae gumrah kuchh meri tarah

DhunDte hain shaiKH paimane ka ghar

qismat-e-'tarzi' yahi jagir thi

shahr-e-gham kahiye ki virane ka ghar

(1079) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ki Basti Mein Afsane Ka Ghar In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. KHwab Ki Basti Mein Afsane Ka Ghar is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem KHwab Ki Basti Mein Afsane Ka Ghar for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download KHwab Ki Basti Mein Afsane Ka Ghar in PDF.