SannaTe Ka Dard Nikhaara Karta Hun

sannaTe ka dard nikhaara karta hun

KHud ko KHamoshi se pukara karta hun

tanhai jab aaina dikhlati hai

apni zat ka pahron nazara karta hun

aawazon ka bojh uThae sadiyon se

banjaron ki tarah guzara karta hun

KHwabon ke sunsan jaziron mein ja kar

virani se zikr tumhaara karta hun

jab se ninden lauT gain taron ki taraf

jagte mein zaKHmon ko sanwara karta hun

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SannaTe Ka Dard Nikhaara Karta Hun In English By Famous Poet Abrar Azmi. SannaTe Ka Dard Nikhaara Karta Hun is written by Abrar Azmi. Read famous Poem SannaTe Ka Dard Nikhaara Karta Hun for youth and Student by Abrar Azmi. Free Download SannaTe Ka Dard Nikhaara Karta Hun in PDF.