Jab Wo Nazren Do-chaar Hoti Hain

jab wo nazren do-chaar hoti hain

tir si dil ke par hoti hain

ranjishen meri aur us gul ki

raat din mein hazar hoti hain

ishq mein be-hijabiyan dil ko

kya hi be-iKHtiyar hoti hain

tu jo jata hai bagh mein ai gul

bulbulen sab nisar hoti hain

qumriyan bandagi mein tujh qad ki

sar-ba-sar tauq-e-dar hoti hain

'aftab' us ke wasl ki baaten

bais-e-iztirar hoti hain

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Wo Nazren Do-chaar Hoti Hain In English By Famous Poet Aftab Shah Alam Sani. Jab Wo Nazren Do-chaar Hoti Hain is written by Aftab Shah Alam Sani. Read famous Poem Jab Wo Nazren Do-chaar Hoti Hain for youth and Student by Aftab Shah Alam Sani. Free Download Jab Wo Nazren Do-chaar Hoti Hain in PDF.